Kasoor kiska - कसूर किसका | Amit Vishwas


Kasoor Kiska - Amit Vishwas

Chala Tha Mai , Jhonkho Se
Chirag Ki Lau Ko Bachaane
Ye Uski Fitrat Thi Ya Nadani
Pata nahi Par Jal Gaya Hath
Aankh Bhar Aayi Toh Kasoor Kiska




Dhoop Me Chalna To Aadat Thi
Na Kabhi Aaram , Na Rahat Thi
Ek Pal Ko Aayi Badali Chhanv Ki
Pal Bhar Me Sukoon Chhin Gaya
Ummeed Royi ...Toh Kasoor Kiska


Mahfil Me Koi Mila Hi Na Tha
Jo Dil Bahla Sake Kisi Geet Se
Laga Kisi Saaj Ki Aahat Hui
Mudke Dekha Sannata Tha
Lauti Tanhai Toh ...Kasoor Kiska


Takdeer Se Koi Ummeed Na Thi
Laga Khush Hua Waqt Barkat Hui
Andhere Me Kahi Roshni Hui, Par
Ek Bujhti Shama Ki Saajish Hui
Toot gaya Dil Toh Kasoor Kiska


Sab Dilon Me To Baste Hi The
Kise ne Fir Se Dil Pe Dastak Di
Dil Ne Apna Liya Dhadakne laga
Is mehmaan Ko Bhi Ya Jagah
Aayi Na Raas Toh Kasoor Kiska


Kasoor Kiska

Previous
Next Post »