Fir Ek Jang | फिर एक जंग | Amit Vishwas


Fir Ek Jang - Amit Vishwas


Aaj Phir Ek Jang Zindagi Se Haara Hoon Main
Jaanta Hoon Badkismat Aawara Hoon Main
Ye Lahrein Baar Baar Aake Tod Jaaye Jise
Us Bedard Dariyaa ka Ik Kinaara Hoon Main



Shikayat Nahi Mujhe Zindagi Ke Halaton Se
Bigaadi Khud Apni Kismat Mere Hi Hathon Se
Tab Jo Rota Log Haste, Ab Bhi Hasenge
Muskura Ke Khela Khud K Jazbaaton Se



Meri Hasi ke Peeche Raaz koi Khaas To Nahi
Dekho Gaur Se Mera Chehra Udaas To Nahi
Bas Nafrat Ho Gayi Hai Bheed Se Roshni Se
Dekh Loon Kahi Ye Dono Aas Paas To Nahi

Murjhaye Foolo Me Ab Koi Mahak Na Rahi
Fir Bhi Udaas Chehron ko Hasana Chahta Hoon
Zindagi Se To Kai Jang Haar Chuka Hoon
Ek Jang Maut Se Haar Jaana Chahta Hoon

Aazad Ho Jaana Hai Fir Duniya Ke Kaaydo se
Door Koi Jahaan Hoga Kasmo Se Waaydo Se
Jaha Koi Na Hoga Mohabbat Ko Taulne Wala
Apni Jaroorto Se, Matlab Se aur Faaydo Se
Previous
Next Post »