Kabhi Laut Na Aane Ko - Amit Vishwas
Aaj , Chal doon kahi,
Anjaani raah par, kabhi laut na aane ko,
Kisne kaha tha
Khuli Aankho Se, Do khwab sajaane ko.
.

(1)
Jab daastan Meri Is kaabil Nahi,
Khushi khushi sunaane ko !
Jab gunaah Mere Is kaabil Nahi
TaZindagi Bhool jaane ko !
Jab Kho Diya Itna Sab K, Kuch
Bacha Hi Nahi Paane Ko !
Haq Hi Nahi Kahu Apna Kisi Ko
Kisi Ka Apna Kahlaane ko
Aaj Chal doon kahi ,
Anjaani Raah Par,
Kabhi Laut Na Aane Ko !
(2)
Jab Gunjaish Hi Nahi Zindagi Se,
Ishq Koi Ho Jaaye Toh.
Jab Wajah Hi Nahi Nibhaane Ki,
Ishq Kabhi Ho Jaaye Toh.
Jab Chahat Hi Nahi Kismat se
Shikwa Koi Karne Ko.
Jab Aahat Hi Nahi Soonepan Me,
Koi Aaye Geet Sunaane Ko.
Aaj Chal Doon kahi,
Anjaani Raah Par,
Kabhi Laut Na Aane Ko.
(3)
Ummeedein, Fir Bhi Marti Nahi,
Kaash Ye bhi Mar Jaye Toh.
Ab Nahi Bacha Mujh Me Kuch,
Ehsaano ko Chukaane ko.
Shakhs Mila Nahi Koi Jo Aaye,
Badalkar Fir Na Jaane Ko.
Intezar Uska AB Khatm Hua Jo,
Aakar Kahe Ruk Jaane Ko.
Aaj Chal Doon kahi,
Anjaani Raah Par,
Kabhi Laut Na Aane Ko.